Friday, June 15, 2007

hum tum

Dil par mere, harpal jiskaa nasha chhaya hain,
vo shayad tumhaara hi saaya hain,
mann ko mere vo itnaa bhaaya hain
isliye hi shaayad use apna Dost banaaya hain.
Suraj na sahi, Chaand to hain saath mere
Dil ke bagiche main Chaandni ka Aashiyaana hain,
Ab to mohabbat ho gayi hain is hawa se bhi mujhe..
uska teri galiyon main jo aana jaana hain..
Madhusaagar main bhi aaj tarannum si masti hain..
kiyaa hain jisne ye asar , tumhaari hi dosti hain.
Aansu nahin khushi ke jaam ,
kar rahe hain aap ka intezaarun
na tarsao, bas jaldi se aa jaao
yun na karo hamein bekaraar.
Rahein kahin bhi chhahe HUM TUM
Bich hamaare ek rishta pyaara, hamesha rahega..
Dil ke gulshan main ,saja ye dostaana hamaara, hamesha rahega...

No comments: