Friday, June 15, 2007

b careful

U hi pehli mulakat main ,
Kisi par aitbaar mat karo,
Jo kal hi aaya hai jindagi main
us par dil nisaar mat karo
kabhi bhi koi,chupke se Dil tod ke,
chala jayega tumhe chod ke.......
Nazar aayega vo phir,
sirf kal ke afsaane main,
Maloom nahin tumhe shayad,
aise bhi beraham dil hote hain jamane main.........

..Dil lagao par thoda aajma kar.......

AA jao

Nazar aayi jo mujhe tum us din.
usi din par ruk gayi jaise ye jindagi
Bholi si vo surat,Masoom si murat
kya kahu jaise Koi pari khoobsurat.....
AAj bhi usi jagah khada hoon main
Ye soch ke ki Kal ka ittefaq shayad aaj bhi hoga
aaj bhi aaogi tum
nazron ka nazron se Milna aaj bhi hoga
na jaane un hi kitne din gujar gaye,
Par tum na aayi
Darta hu khuda ki bandagi se,
tumhare bina jine ki soch ke
darta hoon is jindagi se

Par aaj bhi hai aas
aaj bhi hai intezaar
ab jindagi ka yahi aalam hai,
isi ummed par ki tum kal jaroor aaogi
Meri jindagi aaj bhi kayam hai...................

haath thama hain aap ka

Lafzo ne jab lafzo se shararat ki
teri meri prem kahani bhi kuch aage badhi
haath thama jab sur ne -taal ka
ek rishta ban gaya hamara jazbaat ka
Fizaaon mein kushbu udhne lagi chameli ki
mehanndi rang laayi hatheli ki
aas paas rehne lagi teri aankhen
yaad aane lagi teri sab baatein
Chaand aaya jab tarro ki baraat le kar
chandni sharmane lagi chaand ka haath le kar
"Jine kaa Ehsaas Aa gaya ,Aap ke us mithe Vaade se...
.Haath thama hai aapka,Ab jindagi Jine ke Iraade se...............

tumhe deewana ban doonga

Aap ki aankhon main doobne ko bekarar hain
Pyaar karte hain aapse, hamein iqraar hain,
Ye khubsurat chehra aur ye Julfo ke saaye ,
Jaise Kali ghataye ho chaand chhipayee.
Gulab ki pankhudi se Lab tumhare.
Kasam Mohabbat ki, isi par hum dil haare.
Aankhon main tumhe basaya,dil main tumhe basa loonga,
Apni aashiqui seeeeTumhe deewana bana doonga.........

hua ab yakeen

Haath thama jo tumne hamara,
ye chahat is dil ko mehkaane lagi....
Paakar Saath Tumhara,
Khushbu Kagaz ke Phulo se Bhi aane Lagi.........
Yehi pal,yehi vaadein, jindagi ke saath saath
Dur Talak Saath nibhate hain,
Tumse milkar, Hua hamein aaj yakeen..
Kabhi kabhi Afsaane bhiHaqueekat ban jaate hain...........

hum tum

Dil par mere, harpal jiskaa nasha chhaya hain,
vo shayad tumhaara hi saaya hain,
mann ko mere vo itnaa bhaaya hain
isliye hi shaayad use apna Dost banaaya hain.
Suraj na sahi, Chaand to hain saath mere
Dil ke bagiche main Chaandni ka Aashiyaana hain,
Ab to mohabbat ho gayi hain is hawa se bhi mujhe..
uska teri galiyon main jo aana jaana hain..
Madhusaagar main bhi aaj tarannum si masti hain..
kiyaa hain jisne ye asar , tumhaari hi dosti hain.
Aansu nahin khushi ke jaam ,
kar rahe hain aap ka intezaarun
na tarsao, bas jaldi se aa jaao
yun na karo hamein bekaraar.
Rahein kahin bhi chhahe HUM TUM
Bich hamaare ek rishta pyaara, hamesha rahega..
Dil ke gulshan main ,saja ye dostaana hamaara, hamesha rahega...

tum hi tum ho nazar main

Jaagi Jiss se mere dil main mohabbat,
vo ehsaas tum hi to ho.
Jiss se jaan saka deewangi ka matlab,
vo aashiqi tum hi to ho...
Raushni jo mere dil main failati hai,
vo shama tum hi to ho....
Jinda rehne ka ehsaas karaati,
dil main basi vo dhadkan tum hi to ho....
kya haqueeqat, kya afsaane..
ab to har ghadi,tum yaadein ban mujhe tadhpaati hon....
Dil ka dil se rishta hai, tabhi shayad..
haathon ki lakiro main bhi tum nazar aati ho....

pyar..

Milna dushwar tha,
fir bhi kisi ka intezaar tha,
tha yakeen kabhi milna to hoga hi,
pata nahi dil kyon fir bhi itna bequaraar tha...
dhoondha bahut hamne kaisa tha ye junoon,
tha ye koi marj,...ya kya yehi unke liye mera pyaar tha....

uff

Palko ke kinaare jo bhigoye nahi,
vo samjhte hain hum roye nahi,
puchte hain humse,
khwaab main kise dikhte hon,
aur hum hain ki jamaane se soye nahi...

yaad teri...

AGar bhulna hoga tumhe
mujhe aasman ko bhulana hoga
royega ye dil har pal magar,
mujhe khud ko hasana hoga
har poonam ki raat ko tu aajmayegi mujhko
jab bhi dekhunga chaand ko
teri yaad to aayegi mujhko.......remembering you always